MY FAVOURITE “RAHAT INDORI”

  Sher-o-shayari You are here
Views: 814
aankh pyaasii hai ko_ii manzar de

aankh pyaasii hai ko_ii manzar de

is jaziire ko bhii samandar de

apanaa cheharaa talaash karanaa hai

gar nahiin aa_inaa to patthar de

band kaliyon ko chaahiye shabanam

in chiraagon men roshanii bhar de

pattharon ke saron se karz utaar

is sadii ko ko_ii payambar de

kah_kahon men guzar rahii hai hayaat

ab kisii din udaas bhii kar de

phir na kahanaa ke Khud_Khushii hai gunaah

aaj fursat hai faisalaa kar de

cheharon kii dhuup aankhon kii geharaa_ii le gayaa

cheharon kii dhuup aankhon kii geharaa_ii le gayaa

aa_iinaa saare shahar kii biinaa_ii le gayaa

Dube huye jahaaz pe kyaa tabsaraa karen

ye haadasaa to soch kii geharaa_ii le gayaa

haalaanki bezubaan thaa lekin ajiib thaa

jo shaKhs mujh se chhiin ke goyaa_ii le gayaa

is vaqt to main ghar se nikalane na paa_uungaa

bas ek kamiiz thii jo meraa bhaa_ii le gayaa

jhuute qasiide likhe gaye us kii shaan men

jo motiyon se chhiin ke sachchaa_ii le gayaa

yaadon kii ek bhiid mere saath chhod kar

kyaa jaane vo kahaan merii tanhaa_ii le gayaa

ab asad tumhaare liye kuchh nahiin rahaa

galiyon ke saare sang to saudaa_ii le gayaa

ab to Khud apanii saansen bhii lagatii hain bojh sii

umron kaa dev saarii tavanaa_ii le gayaa

dostii jab kisii se kii jaaye

dostii jab kisii se kii jaaye

dushmanon kii bhii raaye lii jaaye

maut kaa zahar hai fizaaon men

ab kahaan jaa ke saans lii jaaye

bas isii soch men huun Duubaa huaa

ye nadii kaise paar kii jaaye

mere maazii ke zaKhm bharane lage

aaj phir koii bhuul kii jaaye

botalen khol ke to pii barason

aaj dil khol ke bhii pii jaaye

har ek chehare ko zaKhmon kaa aaiinaa na kaho

har ek chehare ko zaKhmon kaa aaiinaa na kaho

ye zindagii to hai rahamat ise sazaa na kaho

na jaane kaun sii majaburiyon kaa qaidii ho

vo saath chhod gayaa hai to bevafaa na kaho

tamaam shahar ne nezon pe kyuun uchhaalaa mujhe

ye ittefaaq thaa tum is ko haadasaa na kaho

ye aur baat ke dushman huaa hai aaj magar

vo meraa dost thaa kal tak use buraa na kaho

hamaare aib hamen ungaliyon pe ginvaao

hamaarii piiTh ke piichhe hamen buraa na kaho

main vaqiyaat kii zanjiir kaa nahiin qaayal

mujhe bhii apane gunaahon kaa silsilaa na kaho

ye shahar vo hai jahaan raakshas bhii hai "Rahat"

har ek taraashe huye but ko devataa na kaho

intezamaat naye sire se sambhaale jaayen

intezamaat naye sire se sambhaale jaayen

jitane kamzarf hain mehafil se nikaale jaayen

meraa ghar aag kii lapaton men chhupaa hia lekin

jab mazaa hai tere aangan men ujaale jaayen

Gam salaamat hai to piite hii rahenge lekin

pehale maikhaane kii haalat sambhaale jaayen

Khaalii vaqton men kahiin baith ke rolen yaaro

fursaten hain to samandar hii khangaale jaayen

Khaak men yuun na milaa zabt kii tauhiin na kar

ye vo aansuun hain jo duniyaa ko bahaa le jaayen

ham bhii pyaase hain ye ehasaas to ho saaqii ko

Khaalii shiishe hii havaaon men uchhaale jaayen

aao shahr men naye dost banaayen "Rahat"

aastiinon men chalo saanp hii paale jaayen

log har mod pe ruk ruk ke sambhalate kyuun hain

log har mod pe ruk ruk ke sambhalate kyuun hain

itanaa Darate hain to phir ghar se nikalate kyuun hain

main na juganuu huun diyaa huun na koii taaraa huun

raushanii vaale mere naam se jalate kyuun hain

niind se meraa ta'alluq hii nahiin barason se

Khvaab aa aa ke merii chhat pe Tahalate kyuun hain

mod hotaa hai javaanii kaa sambhalane ke liye

aur sab log yahiin aake phisalate kyuun hain

peshaaniyo.n pe likhe muqaddar nahii.n mile

peshaaniyo.n pe likhe muqaddar nahii.n mile

dastaar kahaa.N mile.nge jahaa.N sar nahii.n mile

aavaaragii ko Duubate suuraj se rabt hai

maGrib ke baad ham bhii to ghar par nahii.n mile

kal aa_iino.n kaa jashn huaa thaa tamaam raat

andhe tamaash_biino.n ko patthar nahii.n mile

mai.n chaahataa thaa Khud se mulaaqaat ho magar

aa_iine mere qad ke baraabar nahii.n mile

pardes jaa rahe ho to sab dekhate chalo

mumkin hai vaapas aao to ye ghar nahii.n mile

समन्दरों में मुआफिक* हवा चलाता है

समन्दरों में मुआफिक* हवा चलाता है

जहाज़ खुद नहीं चलते खुदा चलाता है

[*favourable]

ये जा के मील के पत्थर पे कोई लिख आये

वो हम नहीं हैं, जिन्हें रास्ता चलाता है

वो पाँच वक़्त नज़र आता है नमाजों में

मगर सुना है कि शब को जुआ चलाता है

ये लोग पांव नहीं जेहन से अपाहिज हैं

उधर चलेंगे जिधर रहनुमा चलाता है

हम अपने बूढे चिरागों पे खूब इतराए

और उसको भूल गए जो हवा चलाता है

(samandaroN meN muaafiq havaa chalaata hai

jahaaz khud nahiiN chalte Khudaa chalaataa hai

ye jaa ke meel ke patthar pe koii likh aaye

vo ham nahiiN haiN, jinheN raasta chalaataa hai

vo paaNh vaqt nazar aataa hai namaazoN meN

magar sunaa hai ki shab ko juaa chalaataa hai

ye log paaoN nahiiN zehan se apaahij haiN

udhar chalenge jidhar rahnumaa chalaataa hai

ham apne buuDhe chiraaGoN pe khuub itraaye

aur usko bhuul gaye jo havaa chalaataa hai)

उसकी कत्थई आंखों में हैं जंतर मंतर सब

उसकी कत्थई आंखों में हैं जंतर मंतर सब

चाक़ू वाक़ू, छुरियां वुरियां, ख़ंजर वंजर सब

जिस दिन से तुम रूठीं मुझ से रूठे रूठे हैं

चादर वादर, तकिया वकिया, बिस्तर विस्तर सब

मुझसे बिछड़ कर वह भी कहां अब पहले जैसी है

भीगे पड़ गए कपड़े वपड़े, ज़ेवर वेवर सब

(katthai=brown, jantar-mantar=charm, magic, maze, an old observatory in Delhi that has a unique shape

uskii katthaii aaNkhoN meN haiN jantar mantar sab

chaaquu vaaquu, chhuriyaan vuriyaan, Khanjar vanjhar sab

jis din se tum ruuThiiN mujhse ruuThe ruuThe se haiN

chaadar vaadar, takia vakia, bistar vistar sab

mujhse bichhuR kar voh bhii kahaaN ab pahle jaisii hai

Phiike paR gaye kapRe vapRe, zevar vevar sab)


Latest Posts

  Posted on Tuesday, March 17th, 2009 at 1:00 AM under   Sher-o-shayari | RSS 2.0 Feed
Start Discussion!
(Will not be published)
(First time user can put any password, and use same password onwards)
(If you have any question related to this post/category then you can start a new topic and people can participate by answering your question in a separate thread)
(55 Chars. Maximum)

(No HTML / URL Allowed)
Characters left

(If you cannot see the verification code, then refresh here)