some shayaris of “Noshi Gilani”

  Sher-o-shayari You are here
Views: 1117
Image

Image

Koi mujhko mera bharpoor saraapa ladey

Mere baazoo meri aankhen mera chehra la dey

Aisa dariya jo kisi aur samandar mai girey

Is se behter hai ke mujhko mera sehra la dey

Kuchh nahee chahiye tujh se meri ai umr-e-rawan

Mera bachpan mere jugnoo meri gudia laa dey

Jiski aankhen mujhe ander se bhi padh sakti hon

Koi chehra to mere sheher mai aisa la dey

Kishti-e-jaan to bhanwar mai hai kai barson se

Ai Khuda ab to dubo dey ya kinara la dey

wo baat mai itna bedelta jata hai

k jis trah koi lehja bedelta jata hai

ya arzo thi k hum oss k sath chalain

mager wo shakes Rasta bedelta jata hai

Rutain Wisaal ki ab Khwab honay wali hai

k iss ki baat ka lehja bedelta jata hai

Rha jo Dhoop mai sir per mery,wohi Aanchel

Hawa chali hai to kitna bedelta jata hai

wo baat ker jisay Duniya bhi Moutber Samjhay!!

tujhe khaber hai zamana bedelta jata hai

MUJH KO RUSWA SARE MEHFIL TO NA KERWAYA KARE

KAASH ANSOO MERI ANKHON MAI HI REH JAAYA KARE

AI HAWA MAINE TO BAS USKA PATA POOCHHA THAA

AB KAHAANI TO NA HAR BAAT KI BAN JAAYA KAREY

BAS BAHUT DEKH LIYE KHWAAB SUNAAHEY DIN KE

AB WO BATON KI RIFAQAT SE NA BEHLAAYA KAREY

IK MUSEEBAT TO NAHEE TOOTEE HAI SO IS DIL PER

JIS QAYAMAT NE GUZARNA HAI GUZAR JAAYA KAREY

DIL NE AB SOCH LIYAA HAI KE YEH ZALIM DUNIAA

JO BHI KERNA HAI KAREY MUJH KO NA ULJHAYA KAREY

JIS KE KHWABON KO MAI AANKHON MAI SAJA KER RAKKHOON

USKI KHUSHBOO KABHI MUJH KO BHI TO MEHKAAYA KAREY

Dhondnay jis mein zindagi nikli

Wohee us shakhs kee gali nikili

Teray lehjay mein tha nahee kia kuchh

Sirf such kee zara kami nikli

Woh jo legti thi kanch ki guriya

zZarb perhnay pe aahini nikli

us haveli mein shaam dhelnay per

her dereechay se roshni nikli

Woh hawa tu nehi thi lerki thi

Kis liye itni sirphri nikli

Woh teray asmaan ka kia kerti

Jis ki mitti se dosti nikli

Bila jawaz rakhen khud ko beqaraar bhi kiun

Jo tu nahee hai to phir tera intezaar bhi kiun

Akelepan ka safar jab mera muqaddar hai

To phir ai waada shikan teri rehguzaar bhi kiun

Usey ganwa ke raho ab khizaon ki zad mai

Jo wo nahee hai to phir mausam-e-bahar bhi kiun

Agar bhulaye huye usko aik umr hui

To phir yeh aaj tabiyet hai sogwaar bhi kiun

Wo jin labon pe yaqeene wafa mehek na sakey

Phir unke lams ki khahish ho aik baar bhi kiun

Jab usko shauq tha raston ki dhool honey ka

Palat ke dekhta jaata tha baar baar bhi kiun

dhondnay jis mein zindagi nikli

woh us shakhs ki gali nikili

teray lehjay mein kia nehi tha

sirf such ki zara si kami nikli

woh jo legti thi kanch ki guriya

zarb perhnay pe aahini nikli

us haveli mein shaam dhelnay per

her dereechay se roshni nikli

woh hawa tu nehi thi lerki thi

kis liye itni sirphri nikli

woh teray asmaan ka kia kerti

jis ki mitti se dosti nikli

Ajeeb khawish ha sehar waloon say chup chupa k kitaab likhoon

Tumharay naam apni zindagi ki kitaab ka intasaab likhoon

Woh lamha kitna ajeeb tha jub humari aankahin galay mileen theen

Main kis tarhan ab mohabbatoon ki tish nage k aazab likhoon

Tumhi nay meray ujar rastoon pay khawishoon k diea jaliea

Tumhi nay chaha tha k khushk hontoon say chahoon k gulaab likhoon

Kabhi woh din they k neend aankhoon ki sarhadoon say paray paray thi

Magar ab jub bhi sona chahoon,tumhari yaadaon k khawab likhoon

Main tanha larki dayar-a-shab main jaloon sach k diea kahan tak

Siyah karoon ki saltanat main main kis tarhan aftab likhoon

Zidatoon k jinoon main jis k qadan lahoon say rangay hwea hain

Woh meray bas main nahi hain logon! k unko izaat-a-maab likhoon

Yahi bohat ha k in laboon ko sada say mehroon kar k rakh doon

Magar ya kaisi muslahat ha samandaroon ko saarab likhoon


Latest Posts

  Posted on Tuesday, March 17th, 2009 at 1:01 AM under   Sher-o-shayari | RSS 2.0 Feed
Start Discussion!
(Will not be published)
(First time user can put any password, and use same password onwards)
(If you have any question related to this post/category then you can start a new topic and people can participate by answering your question in a separate thread)
(55 Chars. Maximum)

(No HTML / URL Allowed)
Characters left

(If you cannot see the verification code, then refresh here)