More Urdu Shayari….

  Sher-o-shayari You are here
Views: 691
these are full shikwa shayari......

:arrow: 1)kyon ziankar banon soodfaramosh rahoon?

fikrey fasarda nah karoon mahve ghame dosha na rahoon

nale bulbul ke sunoon aur hama tangosh rahoon

hamnawan main bhi koi gul hoon ki khamosh rahoon?

urrat A Mooz Taree Tab E Sukhn, Hai Mujh Ko

Shikwa Allah Say Khakum Ba Dahan, Hai Mujh Ko

Hai Baja Shaywa E Tasleem Mein Mashoor Hein Hum

Qissa Dard Sunatay Hein K Majboor Hein Hum

Saaz Khamoosh Hein, Faryaad Say Ma'moor Mein Hum

Nalaa Aata Hai Agar Lab Pay, To Ma'zoor Hein Hum

Ay Khuda! Shikwa E Arbab O Wafa Bhi Sun Lay

Khogar E Hamd Say Thora Sa Gila Bhi Sun Lay

Thi To Mojood Azal Say He Taree Zaat Qadeem

Phool Tha Zaib E Chaman, Par Na Pareshaan Thi Shamim

Shart Insaaf Hai Ay Sahib E Altaf E Ameem

Bo E Gul Phailti Is Tarhe Jo Honti Na Nasim

Hum Ko Jamiat E Khatir Yeah Pareshaani Thi

Warna Ummat Teray Mehboob Ki Deewani Thi.

Hum Say Pehlay Tha Ajab Tairay Jahan Ka Manzar

Kaheen Mazjood Thay Pathar Kaheen Ma'bood Shajar!

Khogar E Paiker E Mehsoos Thi Insaan Ki Nazar

Manta Phir Koi Un Daikhay Khuda Ko Kiokar

Tujh Ko Maloom Hai Laita Tha Koi Naam Tera?

Quwwat E Baazo E Muslim Nai Kiya Kaam Tera!

Bus Rahay Thay Yah een Saljooq Bhi, Torani Bhi

Ehl E Chee Cheen Mein, Irani Mein Sasani Bhi

Isi Ma'moor Mein Aabad Thay Yonani Bhi

Isi Dunya Mein Yahoodi Bhi Thay Nasrani Bhi

Per Tairay Naam Per Talwaar Uthaii Kiss Nai?

Baat Jo Bigri Howi Thi, Wo Banaii Kiss Nai?

Thay Hameen Aik Teray Ma'ar K Aaraoon Mein

Khushkiyoon Mein K abhi Lartay, Kabhi Daryaaon Mein

Dee Azanein Kabhi Europe K Kaleesaoon Mein

Kabhi Afreeqa K Taptay Hoay Sehraon Mein

Shaan Aankhon Mein Na Jajti Thi Jahandaaron Ki

Kalima Parhtay Thay Hum Chaaon Mein Talwaaron Ki

Hum Jo Jeetay Thay, To Jangoon Ki Musibat K Liyeah

Aur Martay Thay Teray Naam Ki Azmat K Liyeah

Thi Na Kuch Zani Apni Hakomat K Liyeah

Sir Bakaf Phirtaythey Kia Dehr Mein Dolat K Liyeah

Qaum Apni Jozaro Maal Jahan Per Marti

But Farooshi K Iwaz But Shikni Kiyoon Karti!

:arrow: 2)Fasl-e-Gul Hain_Sajaa Hain Maikhaana

Chal Mere Dil Khoulaa Hain Maikhaana

Shaam Ke Waqt Baaith Ne Ke Liye

Sab Se Achchhii Jagaah Hain Maikhaana

Khat Hain Shayaad Kissi Sharaabii Ka

Khat Ke Upar Likhha Hain Maikhaana

Kis Tarhe Chhod Doun Isse Waaiz

Mushkilon Se Milaa Hain Maikhaana

Zindegii Jab Guzaarnii Hain Kahiin

Yaar Phir Kyaa Buraa Hain Maikhaana

Jab Se Wo Aankh Hain Khafaa Humse

Youn Lagein Hain-Khafaa Hain Maikhaana


Latest Posts

  Posted on Friday, March 20th, 2009 at 4:18 AM under   Sher-o-shayari | RSS 2.0 Feed
Start Discussion!
(Will not be published)
(First time user can put any password, and use same password onwards)
(If you have any question related to this post/category then you can start a new topic and people can participate by answering your question in a separate thread)
(55 Chars. Maximum)

(No HTML / URL Allowed)
Characters left

(If you cannot see the verification code, then refresh here)