A tribute to khumar barabankvi

  Sher-o-shayari You are here
Views: 647
Khumar Barabankvi (1919 - 1999) was an Urdu poet and lyricist from Barabanki, Uttar Pradesh, India. His real name was Mohammed Haidar Khan, but wrote under the takhallus of Khumar.His book of poetry has been published under the title 'Aatish-e-Tar' some of his great works:

1) aisaa nahii.n ki un se mohabbat nahii.n rahii

jazbaat me.n vo pahalii sii shiddat nahii.n rahii

sar me.n vo intazaar kaa saudaa nahii.n rahaa

dil par vo dha.Dakano.n kii hukuumat nahii.n rahii

paiham tavaaf-e-kuuchaa-e-jaanaa ke din gaye

pairo.n me.n chalane phirane kii taaqat nahii.n rahii

chehare kii jhurriyo.n ne bhayaanak banaa diyaa

aa_iinaa dekhane kii bhii himmat nahii.n rahii

kam_zorii-e-nigaah ne sanjiidaa kar diya

jalvo.n se chhe.D-chhaa.D kii aadat nahii.n rahii

allaah jaane maut kahaa.N mar ga_ii 'Khumar'

ab mujh ko zindagii kii zaruurat nahii.n rahii

2)bujh gayaa dil hayaat baaqii hai

chhup gayaa chaa.Nd raat baaqii hai

hal-e-dil un se kah chuke sau baar

ab bhii kahane kii baat baaqii hai

raat baaqii thii jab vo bichha.De the

kaT ga_ii umr raat baaqii hai

ishq me.n ham nibhaa chuke sab se ai 'Khumar'

bas ek zaalim hayaat baaqii hai

3) durii ke Gam kuchh aur sivaa ho ke rah gaye

ham un se kyaa mile ke judaa ho ke rah gaye

khoye hue the der se vo merii yaad me.n

mujh par nazar pa.Dii to Khafaa ho ke rah gaye

phir dosto.n ko mai.n ne pai mashq de diye

jo tiir mujh tak aaye Khataa ho ke rah gaye

majabuur ho ke maa.Ngii thii lutf-o-karam kii bhiik

lutf-o-karam bhii jor-o-jafaa ho ke rah gaye

ab kyaa rahaa tere liye ai ishq naamuraad

ab vo bhii mubtilaa-e-vafaa ho ke rah gaye

allaah aa_iinaa to kabhii dekh lo 'Khumaar'

tum kyaa the aur ishq me.n kyaa ho ke rah gaye

4)ek pal me.n ek sadii kaa mazaa ham se puuchhiye

do din kii zindagii kaa mazaa ham se puuchhiye

bhuule hai.n unhe.n raftaa raftaa mudatto.n me.n ham

qishto.n me.n Khud_kushii kaa mazaa ham se puuchhiye

aaGaaz-e-aashiqii kaa mazaa aap jaaniye

anjaam-e-aashiqii kaa mazaa ham se puuchhiye

jalate diyo.n me.n jalate gharo.n jaise zau kahaa.N

sarakar raushnii kaa mazaa ham se puuchhiye

vo jaan hii gaye ke hame.n un se pyaar hai

aa.Nkho.n kii muKhbarii kaa mazaa ham se puuchhiye

ha.Nsane kaa shauq ham ko bhii thaa aap kii tarah

ha.Nsiye magar ha.Nsii kaa mazaa ham se puuchhiye

ham taubaa kar ke mar gaye bemaut ai 'Khumar'

tauhiin-e-maikashii kaa mazaa ham se puuchhiye

5) na haaraa hai ishq na duniyaa thakii hai

diyaa jal rahaa hai havaa chal rahii hai

sukuun hii sukuun hai Khushii hii Khushii hai

teraa Gam salaamat mujhe kyaa kamii hai

charaaGo.n ke badale makaa.N jal rahe hai.n

nayaa hai zamaanaa na_ii raushanii hai

are o jafaao.n pe chup rahane vaalo

Khaamoshii jafaao.n kii taa_iid bhii hai

mere rah_bar mujh ko gum_raah kar de

sunaa hai ki manzil qariib aa ga_ii hai

'Khumar' ek baalaanosh tuu aur taubaa

tujhe zaahido.n kii nazar lag ga_ii hai


Latest Posts

  « remix…..
  Posted on Friday, March 20th, 2009 at 4:18 AM under   Sher-o-shayari | RSS 2.0 Feed
Start Discussion!
(Will not be published)
(First time user can put any password, and use same password onwards)
(If you have any question related to this post/category then you can start a new topic and people can participate by answering your question in a separate thread)
(55 Chars. Maximum)

(No HTML / URL Allowed)
Characters left

(If you cannot see the verification code, then refresh here)