Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hain.(Ahmad faraz)

  Sher-o-shayari You are here
Views: 728

Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hain

So us ke shehar mein kuch din thehar ke dekhtay hain

Suna hai rabt hai us ko kharaab haloon se

So apne aap ko barbaad kar ke dekhtay hain

Suna hai dard ki ghaahak hai chashm-e-naaz us ki

So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhtay hain

Suna hai us ko bhi hai shair-o-shaeri se shaguf

So hum bhi moujazzay apne hunar ke dekhtay hain

Suna hai bolay tu batoon se phool jhartay hain

Yeh baat hai tu chalo baat kar ke dekhtay hain

Suna hai raat ussay chaand takta rehta hai

Sitaaray baam-e-falak se uttar ke dekhtay hain

Suna hai din ko ussay titleyaan sataati hain

Suna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhtay hain

Suna hai hashar hain us ki ghazaal si ankhain

Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain

Suna hai raat se barh kar hain kaaklain us ki

Suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhtay hain

Suna hai us ki seyaah chashmagi qayaamat hai

So us ki surma farosh aah bhar ke dekhtay hain

Suna hai us ke laboon se gulaab jaltay hain

So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtay hain

suna hai aaenaa tamsaal hai jabeen us ki

Jo saada dil hain ussay ban sanwar ke dekhtay hain

Suna hai jab se hamaayal hain us ki gardan mein

Mizaaj aur hi laalo-gohar ke dekhtay hain

Suna hai chashm-e-tassavur se dasht-e-imkaan mein

Pallang zaweyey us ki kamar ke dekhtay hain

Suna hai us ke badan ki taarash aisi hai

Ke phool apni qubaayain qattar ke dekhtay hain

Bas ek nigaah se lut’ta hai qaafila dil ka

So reharwaan-e-tamanna bhi dar ke dekhtay hain

Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behisht

Makeen idhar ke bhi jalway udhar ke bhi dekhtay hain

Rukay tu gardishain us ka tawwaaf karti hain

Chalay tu us ko zamaany thehar ke dekhtay hain

=============================

Ahmad faraz poetry, Ahmad faraz ghazal, Ahmad faraz




Latest Posts

Comments
waseem () [ Reply ] 2010-06-15 09:18:05
Bahut badhiya lajawab
rafe () [ Reply ] 2009-05-31 13:29:59
@anjili, Aji Bahut bahut shukriya ...Asal mein faraz sahab likhte hi itna badhiya hain ki unki gazal kahin bhi kabhi bhi padhi jaye to bina tareef ke wapis nahin aati


Start Discussion!
(Will not be published)
(First time user can put any password, and use same password onwards)
(If you have any question related to this post/category then you can start a new topic and people can participate by answering your question in a separate thread)
(55 Chars. Maximum)

(No HTML / URL Allowed)
Characters left

(If you cannot see the verification code, then refresh here)