Sarvar Alam Raj Sarvar

  Sher-o-shayari You are here
Views: 791
Ghazal...

1)aashnaa the Khud se, phir naa-aashnaa hote gaYe

ho bhalaa is i'shq kaa, ham kyaa se kyaa hote gaYe!

ashk-e-Gham behte rahe aur naqsh-e-paa hote gaYe

zindagee ke qarZ^ saare yooN adaa hote gaYe

naa-rasaayee kaa fasaanaa kyaa kaheN, kis se kaheN?

manzileN aayeeN to ham be-dast-o-paa hote gaYe

ittifaaqa" apnee Haalat par naz^ar jab jab paRee

ham nigaahoN meN Khud apnee be-ridaa hote gaYe

regzaar-e-aarzoo meN waqt woh ham par paRaa

raahzan chehre badal kar rehnumaa hote gaYe

ahl-e-dunyaa kee Zaraa dekho karam-farmaa,iyaaN

aaR meN eemaaN kee bande bhee Khudaa hote gaYe

i'shq kee be-taabiyoN kee laZZateN mat poochhiYe

naalah-haaYe aarzo Harf-e-du,a'a hote gaYe

yeh kaho "Sarwar"! tumhaaree inkisaaree kyaa huyee?

tum bhee dunyaa kee t^araH kyoN Khud-numaa hote gaYe?

2)roz-o-shab rulaaYe gee aap kee kamee kab tak?

:dard-e-bekasee kab tak? ranj-e-a'ashiqee kab tak?

"Sarwar"-e-pareshaaN se aisee dil-lagee kab tak?

be-ruKhee ke parde meN naaz-o-dilbaree kab tak?

daaGh-e-naarasaayee kyoN, zaKhm-e-kajrawee kab tak?

SubH nauHah-KhwaaN ho gee shaam-e-yaas kee kab tak?

kyoN nah ham bhee dikhlaaYeN daaGh-haaYe shaam-e-Gham?

meHshar-e-muHabbat meN yeh rawaa-rawee kab tak?

ab to apnee Soorat bhee ajnabee see lagtee hai

de gee yooN fareb aaKhir meree zindagee kab tak?

SubH-o-shaam shikwah hai, roz-o-shab kaa ronaa hai

is t^araH nibhaa,o ge ham se dostee kab tak?

raah-e-maikadah yaa Rab! har qadam peh khoTee hai

karb-e-tishnagee kab tak? jaam yeh tehee kab tak?

maiN shikaar-e-naumeedee, too wafaa se begaanah

dekhiYe rahe apnee zeest ajnabee kab tak!

ho chukeeN bohat baateN, soch to Zaraa "Sarwar" manzil-e-muHabbat meN Sirf shaa,i'ree kab tak?

3)ham huwe gardish-e-dauraaN se pareshaaN kyaa kyaa!

kyaa thaa afsaanah-e-jaaN aur the u'nwaaN kyaa kyaa!

har nafas ik nayaa afsaanah sunaa kar guzraa

dil peh phir beet gayee shaam-e-GhareebaaN kyaa kyaa!

tere aawaarah kahaaN jaaYeN,kise apnaa kaheN?

tujh se ummeed thee ai shehr-e-nigaaraaN kyaa kyaa!

bandagee Husn kee jab se huyee me'raaj-e-i'shq

sajhdah-e-kufr banaa HaaSil-e-eemaaN kyaa kyaa!

faaSile aur baRhe manzil-e-gumkardah ke

aur karte rahe ham zeest ke saamaaN kyaa kyaa!

dhoop aur chhaa,oN kaa woh khel, a'yaaza" billaah!

raNg dekhe tire ai u'mr-e-gurezaaN kyaa kyaa!

haaYe yeh laZZat-e-aazaar-e-shikastahpaayee!

ham ne Khud DhooND liYe apne bayaabaaN kyaa kyaa!

Haif, "Sarwar"! tujhe aiyyaam-e-KhizaaN yaad naheeN?

i'shq meN hai tujhe ummeed-e-bahaaraaN kyaa kyaa!

4)mareeZ^-e-i'shq par pal meN qiyaamat kaa guZar jaanaa!

:sirhaane se kisee kaa uTh keh woh pich`le pahar jaanaa!: ("Jigar" Muradabadi)

kisee ko ham-nafas samjh`aa, kisee ko chaarahgar jaanaa

magar duniyaa ko ham ne kuch` naheeN jaanaa, agar jaanaa!

maqaam-e-zeest ko ham ne bh`alaa kab mo'tabar jaanaa?

milaa jo lamHah-e-furSat use bh`ee muKhtaSar jaanaa!

ilaahee! ham GhareeboN kee hee kyoN yeh aazmaa,ish hai?

dawaa kaa be-acar rehnaa, du,a'a kaa be-acar jaanaa

tabassum zer-e-lab teraa daleel-e-SubH-e-jaan-o-dil

tiraa naz^reN churaanaa nabZ^-e-hastee kaa Thehar jaanaa!

Haqeeqat hai to bas itnee see hai haNgaam-e-hastee kee

:yahaaN par beKhabar rehnaa, yahaaN se beKhabar jaanaa:!

salaam aisee muHabbat ko, bh`alaa yeh bh`ee muHabbat hai?

kisee kee yaad meN jeenaa, kisee ke Gham meN mar jaanaa!

rah-e-ulfat meN ham se aur kyaa ummeed rakhte ho?

yeh kyaa kam hai keh apnee Zaat ko gard-e-safar jaanaa?

too Khud ko laakh` samjh`e baa-kamaal-o-baahunar "Sarwar"tujh`e lekin zamaaneh ne hameshah behunar jaanaa!

5)zamaanah ek z^aalim hai, kisee kaa ho naheeN saktaa!

kisee kaa Zikr kyaa, yeh Khud hee apnaa ho naheeN saktaa!

yeh hai mo'jiz-numaayee us kee yaa hai Husn-e-z^an meraa?

:keh us kaa ho ke ph`ir koyee kisee kaa ho naheeN saktaa:

naz^ar to ph`ir naz^ar hai, Dh`ooNDh le gee laakh` pardoN meN

ch`upo tum laakh` lekin Khud se pardaa ho naheeN saktaa!

maqaam-e-naa-umeedee zeest kaa u'nwaan kyoN Thaire?

muHabbat meN jo tum chaaho to kyaa kyaa ho naheeN saktaa!

kahaaN yeh u'mr-e-do-rozah, kahaaN dunyaa kee aawezish

huwaa ab tak, magar ab yooN guZaaraa ho naheeN saktaa

udh`ar woh naaz keh :dekh`e haiN aise laakh` deewaane!:

idh`ar yeh za'm keh :koyee bh`ee ham saa ho naheeN saktaa!:

muHabbat aur shai hai, dil-sitaanee aur hee shai hai

takalluf bar-t^araf! ab yeh gawaaraa ho naheeN saktaa!

koyee achh`aa kahe "Sarwar" tujh`e yaa woh buraa jaane

naz^ar meN Khud kee jo hai, us se achh`aa ho naheeN saktaa!

6)sunaa hai arbaab-e-a'ql-o-daanish hameN yooN daad-e-kamaal deN ge

"junooN ke daaman se ph`ool chun kar Khirad ke daaman meN Daal deN ge!"

Zaraa bataaYeN keh aap kab tak fareb-e-Husn-o-jamaal deN ge

sukooN ke badleh meN tuHfah-e-Gham, qaraar le ke malaal deN ge?

ham apne dil se Khayaal-e-dair-o-Haram ko aise nikaal deN ge

tamaam ajzaa-e-kufr-o-eemaaN bas ek sajdeh meN Dh`aal deN ge!

jinheN tameez-e-wafaa naheeN hai, jinheN sha,o'or-e-junooN naheeN hai

bh`alaa woh kis t^araH raah-e-Gham meN Hisaab-e-hijr-o-wiSaal deN ge?

zabaaN kee raNgeeN-nawaa,iyoN se, bayaaN kee jalwah-t^araaziyoN se

nigaar-e-Urdu ko har gh`aRee ham Khiraaj-e-fikr-o-Khayaal deN ge!

tumheN hai kyoN ashk-e-Gham peh Hairat, yehee to hotaa hai a'ashiqee meN

sawaal agar dil-figaar ho gaa, jawaab bh`ee Hasb-e-Haal deN ge!

Khumaar-e-baadah, Khiraam-e-aahoo, nigaah-e-nargis, nawaa-e-bulbul

kisee ne in kaa patah jo pooch`aa to ham tumhaaree micaal deN ge!

woh ek lamHah dam-e-judaayee jo zeest kaa e'tibaar Th`ehraa

us ek lamHeh ne jo diyaa hai kahaaN yeh sab maah-o-saal deN ge?

nah in kee baatoN meN aanaa "Sarwar"! yeh ahl-e-dunyaa haiN fitnah-parwar

hazaar baateN banaa banaa kar tumheN yeh dam bh`ar meN Taal deN ge!

7)

Sarwar Alam Raz Sarwar

Ghazal

Dh`ooNDte Dh`ooNDte Khud ko maiN kahaaN jaa niklaa

ek pardah jo uTh`aa, doosraa pardah niklaa!

manz^ar-e-zeest saraa-sar tah-o-baalaa niklaa

Ghaur se dekh`aa to har shaKhS tamaashaa niklaa!

ek hee raNg kaa Gham-Khaanah-e-dunyaa niklaa

Gham-e-jaanaaN bh`ee Gham-e-zeest kaa saayaa niklaa!

is rah-e-i'shq ko ham ajnabee samjh`e th`e magar

jo bh`ee patth`ar milaa barsoN kaa shanaasaa niklaa!

aarzoo, Hasrat-o-ummeed, shikaayat, aaNsoo

ik tiraa Zikr th`aa aur beech meN kyaa kyaa niklaa!

jo bh`ee guZraa tiree furqat meN woh achh`aa guZraa

jo bh`ee niklaa miree taqdeer meN achh`aa niklaa!

gh`ar se nikle th`e keh aa,eenah dikh`aaYeN sab ko

Haif! har a'ks meN apnaa hee saraapaa niklaa!

kyoN nah ham bh`ee kareN us naqsh-e-kaf-e-paa kee talaash?

sho'lah-e-t^oor bh`ee to ek bahaanaa niklaa!

jee meN th`aa baiTh` ke kuch` apnee kaheN ge "Sarwar"!

too bh`ee kam-baKht! zamaaneh kaa sataayaa niklaa!

8)koochah koochah, nagar nagar dekh`aa

Khud meN dekh`aa use agar dekh`aa!

qiSSah-e-zeest muKhtaSar dekh`aa

jaise ik Khwaab u'mr bh`ar dekh`aa!

dar hee dekh`aa nah too ne gh`ar dekh`aa

zindagee! tujh` ko Khoob kar dekh`aa!

rezah rezah umeed-o-armaaN th`e

paarah paarah dil-o-jigar dekh`aa!

koyee Hasrat nah is ke ba'd rahee

us ko Hasrat se ik naz^ar dekh`aa!

Haal-e-dil apnaa deedanee kab th`aa

dekh`te kaise? haaN! magar dekh`aa!

ham ko dair-o-Haram se kyaa nisbat?

us ko dil meN hee jalwah-gar dekh`aa!

dard meN, ranj-o-Gham meN, HirmaaN meN

aap ko ham ne dar-ba-dar dekh`aa!

sach kaho bazm-e-she'r meN tum ne

koyee "Sarwar" saa be-hunar dekh`aa?


Latest Posts

  Posted on Friday, March 20th, 2009 at 4:21 AM under   Sher-o-shayari | RSS 2.0 Feed
Start Discussion!
(Will not be published)
(First time user can put any password, and use same password onwards)
(If you have any question related to this post/category then you can start a new topic and people can participate by answering your question in a separate thread)
(55 Chars. Maximum)

(No HTML / URL Allowed)
Characters left

(If you cannot see the verification code, then refresh here)