Ek Pal Ke Liye

  Sher-o-shayari You are here
Views: 867
Asmaan ke taare aksar puchte hai humse

kya tumhe aaj bhi intezar hai uske aane ka

aur ye dil muskura ke kehta hai

mujhe to abtak yakin na hua uske chale jaane ka

chale gaye ho dur kuch pal ke liye,

dur rehkar bhi karib ho har pal ke liye,

kese yad na aaye aap ek pal ke liye,

jab dil me ho aap har pal ke liye.

Baat aisi ho ki jazbat kam na ho

khayalat aisi ho ki kabhi gham na ho

dil ke kone me itni jagah rakhna

ki khali-khali sa lage jab hum na ho...

Dil tuta to ek aawaaz aai,

chir ke dekha to ek chiz nikal ke aai,

socha kya hoga is khali dil mein,

kahu se dhokar dekha to aapki tasveer nazar aai.

Tanha khud ko kabhi hone mat dena

aanhko ko kabhi rone mat dena

bahut khaas ho tum mere liye

is khayal ko apne se juda hone mat dena...

Kuchh dost khas hote hai,

jo dur rehkar bhi paas hote hai,

tanhai kabhi mehsoos nahi hoti,

jab unki yadon ke saye sath hote hai.

Puchlo khuda se aapke liye hi dua maangi

puchlo hawa se aapke liye hi fiza maangi

aapne ki jitni bhi galatiya

humne dua me apne liye saza maangi...

Maine khuda se ek mannat mangi,

mannat me maine apni maut mangi,

khuda ne kaha, me tumhe maut to de du,

magar use kya javab du, jisne tumhari lambi umr ki dua mangi.




Latest Posts

  Posted on Tuesday, March 17th, 2009 at 12:46 AM under   Sher-o-shayari | RSS 2.0 Feed
Start Discussion!
(Will not be published)
(First time user can put any password, and use same password onwards)
(If you have any question related to this post/category then you can start a new topic and people can participate by answering your question in a separate thread)
(55 Chars. Maximum)

(No HTML / URL Allowed)
Characters left

(If you cannot see the verification code, then refresh here)