Woh jo hum meiN tum meiN qarar tha… By Momin Khan ‘Momin’

  Sher-o-shayari You are here
Views: 4146
वो जो हम में तुम में क़रार था तुम्हें याद हो के न याद हो

वही यानी वादा निबाह का तुम्हें याद हो के न याद हो

वो नये गिले वो शिकायतें वो मज़े-मज़े की हिकायतें

वो हर एक बात पे रूठना तुम्हें याद हो के न याद हो

कोई बात ऐसी अगर हुई जो तुम्हारे जी को बुरी लगी

तो बयाँ से पहले ही भूलना तुम्हें याद हो के न याद हो

सुनो ज़िक्र है कई साल का, कोई वादा मुझ से था आप का

वो निबाहने का तो ज़िक्र क्या, तुम्हें याद हो के न याद हो

कभी हम में तुम में भी चाह थी, कभी हम से तुम से भी राह थी

कभी हम भी तुम भी थे आश्ना, तुम्हें याद हो के न याद हो

हुए इत्तेफ़ाक़ से गर बहम, वो वफ़ा जताने को दम-ब-दम

गिला-ए-मलामत-ए-अर्क़बा, तुम्हें याद हो के न याद हो

वो जो लुत्फ़ मुझ पे थे पेश्तर, वो करम के था मेरे हाल पर

मुझे सब है याद ज़रा-ज़रा, तुम्हें याद हो के न याद हो

कभी बैठे सब में जो रू-ब-रू तो इशारतों ही से गुफ़्तगू

वो बयान शौक़ का बरमला तुम्हें याद हो के न याद हो

किया बात मैं ने वो कोठे की, मेरे दिल से साफ़ उतर गई

तो कहा के जाने मेरी बाला, तुम्हें याद हो के न याद हो

वो बिगड़ना वस्ल की रात का, वो न मानना किसी बात का

वो नहीं-नहीं की हर आन अदा, तुम्हें याद हो के न याद हो

जिसे आप गिनते थे आशना जिसे आप कहते थे बावफ़ा

मैं वही हूँ "मोमिन"-ए-मुब्तला तुम्हें याद हो के न याद हो

(Woh jo hum maiN tum maiN qarar tha tumhaiN yaad ho keh nah yaad ho

Wohi yaani waada  nibah ka TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Woh naay gilay woh shikaayateN Woh mazay mazay ki hikayateN

Woh har ik baat peh roothna TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Koi baat aisee gar hooee Keh tumharay jee ko buree lagee

To bayaN say pehlay hee bhoolna TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Suno zikr hai kai saal ka , koi vaada mujh se tha aap ka

Wo nibahne ka to zikr kya TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Woh jo lutf mujh peh thay peshtar Woh karam keh tha mray haal per

Mujhay sabb hay yaad zara zara TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Kabhi hum maiN tum maiN bhi chah thee Kabhi hum maiN tum maiN bhi rah thi

Kabhi hum bhi tum bhi thay aashnaa TumhaiN yaad ho keh nah yaad ho

Hooay ittefaq say gar baham To wafa jatanay ko dam badam

Gila-e-malamat-e-aqrabaa TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Wo jo lutf mujhpe the peshtar, wo karam ke tha mere haal par

Mujhe sab hai yaad zara zara TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Kabhi baithe sab mein jo ru ba ru to isharaton hi se guftgu

Wo bayan shauk ka barmala TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Kiya baat main ne wo kothe ki, mere dil se saaf utar gayi

to kaha ke jaane meri bala TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Woh bigarnaa wasl ki raat ka Woh naa ma'an-na kisi baat ka

Who nahiN nahiN ki har aan adaa TumhaiN yaad ho keh nah yaad ho

Jisay aap gintay thay aashnaa Jisay aap kehtay thay baawafa

MaiN wohi hooN Momin-e-mubtalaa TumhaiN yaad ho keh nah yaad ho)

============================

Listen in Ghulam Ali Voice: Wo jo Hum mein tum Mein




Latest Posts

Comments
SURENDRA () [ Reply ] 2010-08-21 17:49:35
Kon Sa Zakhm Tha Jo Taaza Na Tha, Itne Gam The Ki Andaza Na Tha, Uski Zeel Si Ankho Ka Kya Kasur, Dubne Wale Ko Gehrai Ka Andaza Na Tha


Start Discussion!
(Will not be published)
(First time user can put any password, and use same password onwards)
(If you have any question related to this post/category then you can start a new topic and people can participate by answering your question in a separate thread)
(55 Chars. Maximum)

(No HTML / URL Allowed)
Characters left

(If you cannot see the verification code, then refresh here)