Urdu Sher - 2 Liners

  Sher-o-shayari You are here
Views: 1235
Ye saal bhi guzra hai tere pyaar ki maanind
Aate hue kuchh aur thaa jaate hue kuchh aur.....
Uss ke liye to maine yahan tak duaain ki,

Meri tarah say koi usay chahta bhi ho

Ab Inn Hadood Mein Laaya Hai Intezaar Mujhe,

Wo Aa Bhi Jaaye To Aaye Na Aetbaar Mujhe.. !!

Koi Shay Palat Kar ...Wapis Nahi Aati

Siwaye Mousamoun Kay.... Kaash Tum Bhi Mousam Hote !!

Woh Jo Bichra To Aa Gayee Mujh Per

Us Ke Khuaabon Ki Zimmedaari Bhi ..!

Barsoon baad bhi uski adaat nahi badli zidd ki....

Kaash hum uski mohabbat nahi zidd hote....

Is diyaar-e-be-rukhi me is qadar paas-e-wafa....

bus yehi ik kam tha jo hum ghalat karty rahy...

Hazaaron Haadsey Tujpar Qayamat Bann Ke Tutey Hai

Tu Us Par Bhi Salamat Hai, Dil-E-Khush Fehm Tera Kya Kehna !

nahi fursat yakeen mano hume kuch aur karny ki

teri yadayn tyri batain bauht masroof rakhti hyn

KABHI LE MUJH SE MERE SHAB~O~ROOZ KA HISAAB

PHIR DHOOND APNY SIWA KUCH OR MERI ZINDAGI ME.....

Wo Ab Bhi Rail Me Baithi Sisak Rahi Hogi..

Main Apnaa Haath Hawaa Me Hilaa Ke Laut Aayaa...!!

Sazaa kaa haal sunaaye jazaa kii baat karen

Khudaa milaa ho jinhen vo Khudaa kii baat karen

Har ek daur kaa mazahab nayaa Khudaa laataa

karen to ham bhii magar kis Khudaa kii baat karen?

Main raat toot ke roya tou chain se soya

Ke dil kaa dard meri chashm-e-tar se nilkla tha

Woh Qais abb jisey Majnoo pukarte hain Faraz

Teri tarah koi Deewana ghar se nikla tha...!!!

Kahna to tha ka khush hun bagair tera....

Aanso magar kalam se pahle hi gir gae......

Es kadar kimati toh na tha mera chain-o-sukun

k jaise woh khazane ki tarah chura k le gaye

har raat guzarti hay sitaroon ke darmiyan...

main chand tu nahi, magr tanha zaror hoon

Ranjshain To Hoti Hain Mohabaton Main Magar ,

Tum Se Ye Kis Ne Kaha Ke Mujhe Adhora Kar Do?

aaj bhi dekh lia us ne k mein zinda hun...

chor aya hun usay aj bhi heraani mein...!!!

wo tery naseeb ki barishain kisi or chatt pe bars gain....

dil e bekhabar meri baat sun usy bhool ja usy bhool ja...!!

Khuda ne sabar karne ki mujhe toufeeq bakhshi hai ,

Aray G bhar ke tarrpao shikayat kon karta hai...!!

haan mujhay rasm e mohabbat ka saleeka hi nahin...

ja kisi aur ka honay ki ijazat hai tujay!!!!!!

Sharm,Dehshat,Jhijhak,Parishani ..

Naaz Se Kaam Kiyun Nahin Letin ..

Aap,Woh,Ji,Magar...Yeh Sab Kya Hai..

...Tum Mera Naam Kyon Nahin Lete ..

Ki Marey Qatal Key Baad Us Ne Jafa Se Tauba

Haye, Us Zood-e-Pashemaan Ka Pashemaan Hona..!

Haif Us Chaar Girah Kapde Ki Qismat 'Ghalib'

Jis Ki Qismat Mein Ho Aashiq Ka Girebaan Hona

Muhabbhat Main Nhi hy Qaid Milnay Or Bicharnay Ki

Yah In KhudGharaz Batoon Se Bohat Agey Ki Duniya Hay...!!!!

Tareekh hazooro saal mien itni se badli hai

Tab dour tha PATHER ka ab Loog hain PATHER k




Latest Posts

  Posted on Friday, January 6th, 2012 at 9:45 AM under   Sher-o-shayari | RSS 2.0 Feed
Start Discussion!
(Will not be published)
(First time user can put any password, and use same password onwards)
(If you have any question related to this post/category then you can start a new topic and people can participate by answering your question in a separate thread)
(55 Chars. Maximum)

(No HTML / URL Allowed)
Characters left

(If you cannot see the verification code, then refresh here)