Maa ka Pyar mat Bhoolna… Beautiful ghazal

  Sher-o-shayari You are here
Views: 1871

Jab Tu Paida Huwa Kitna Majboor Tha

Yeh Jahan Teri Sonch Se Bhi Door Tha

Haath Paaon Bhi Tab Tere Apney Na Thay

Teri Ankhon Main Duniya Ke Sapney Na Thay

Tujh Ko Aata Sirf Rona Hi Tha

Doodh Pi Ke Kaam Tera Sona Hi Tha

Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maa Ne Teri

Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maa Ne Teri

Maa Ke Saaye Main Parwaan Chadne Laga

Waqt Ke Sath Qad Tera Badne Laga

Dhirey Dhirey Tu Kadiyal Jawan Ho Gaya

Tujh Pe Saara Jahan Meharban Ho Gaya

Zor-E- Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga

Khud Hi Sajney Laga Khud Sanwarney Laga

Ek Din Ek Ladki Tujhe Bhaa Gayei

Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Agayei

Ab Faraayez Se Tu Door Hone Laga

Beej Nafrat Ka Khud Hi Tu Bolney Laga

Phir Tu Maa Baap Ko Bhi Bhulane Laga

Teer Baton Ke Phir Tu Chalane Laga

Baat Baat Pe Un Se Tu Ladne Laga

Qayda Ek Naya Tu Phir Padnay Laga

Yaad Kar Tujh Se Maa Ne Kaha Ek Din

Abb Humara Guzara Nahin Tere Bin

Sun Ke Yeh Baat Tu Tayesh Main Agaya

Tera Gussa Teri Aqal Ko Kha Gaya

Josh Main Aake Tu Ne Yeh Maa Se Kaha

Main Tha Khamosh Sab Dekhta Hi Raha

Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chor Do

Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tod Do

Jao Ja Ke Kahin Kaam Dhanda Karo

Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Ja Maro

Bait Kar Aahen Bharti Thi Maa Raat Bhar

Inki Aahon Ka Tujh Par Howa Na Asar

Ek Din Baap Tera Chala Rooth Kar

Kaise Bikhri Thi Phir Teri Maa Toot Kar

Phir Woh Bhi Bas Kal Ko Bhulati Rahi

Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi

Ek Din Maut Ko Bhi Taras Agaya

Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Gaya

Ashk Ankhon Main Thay Woh Rawana Huwi

Maut Ki Ek Hichki Bahana Huwi

Ek Sukoon Us Ke Chehre Pe Chaaney Laga

Phir Tu Mayyat Ko Uski Sajaney Laga

Muddatain Ho Gayi Aaj Booddha Hai Tu

Tooti Khatiya Pe Pada Bora Hai Tu

Tere Bacche Bhi Abb Tujh Se Dartey Nahi

Nafraten Hain, Muhabbat Woh Kartey Nahi

Dard Mein Tu Pukare Ke “O Meri Maa”

Tere Dam Se Hi Roshan The Dono Jahan

Waqt Chalta Rahta Hai Waqt Rukta Nahi

Toot Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahi

Bann Ke Ibrat Ka Tu Abb Nishaan Reh Gaya

Dhoondh Ab Zor Tera Kahan Reh Gaya

Tu Ahkaam-E-Rabbi Bhulata Raha

Apne Maan-Baap Ko Tu Satata Raha Kaat Le Tu Wohi, Tu Ne Boya Tha Jo

Tujh Ko Kaise Miley Tu Ne Khoya Tha Jo

Yaad Kar Ke Gaya Daur, Tu Rone Laga

Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Phir Hone Laga

Maut Maange Tujhe Maut Aati Nahin

Maa Ki Surat Nigahon Se Jati Nahi

Tu Jo Khanse Tu Aulad Daantey Tujhe

Tu Hai Nasoor Sukh Kaun Baantey Tujhe

Maut Ayegi Tujh Ko Magar Waqt Par

Bann Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt Par

Qadar Maa Baap Ki Gar Koi Jaan Le

Apni Jannat Ko Duniya Main Pehchan Le

Aur Leyta Rahe Woh Badon Ki Dua

Usi Ke Dono Jahan, Uska Haami Khuda

Yaad Rakhna Her Aulaad Is Baat Ko

Bhool Jana Na Rehmat Ki Barsat Ko




Latest Posts

Comments
s.p.gupta (sitapur) [ Reply ] 2013-10-05 18:17:39
likhne wale kya khoob likha hai! maa to aakhir maa hai maa ki tulna nahi ek bar gar gai cali to milna nahi
Shital chourasiya (Deori Sagar) [ Reply ] 2012-12-03 17:33:38
Bahut badiya Maa Baap se badkar is duniya me kuch v nahi hai. Aur jo unka nahi hai uska koi nahi hai. Jai Mayi ki
maqsood () [ Reply ] 2010-11-01 00:13:18
Boohat khosarat ghazal hi poori zindagi ko ek baat me keh diya meri Maa mujh se Naraz hi main Apni Maa se boohat Pyar karta Hoon Boohat Roota hon Tadapta hon apne Annso ko chupata hoon mujh se ek galti hoi mene apni merzi se ek larki se shadi ki meri Maa ne mujhe Ghar se Nikal diya ab meri bivi ki or maa ki nahi banti Maa or Bivi dono mujhe Azizz hain Maa ek bar milti hi jis se mene shadi ki ous ne mare liye apni duniya lota di me ousko akeela bhi nahi chor sakta mare elawa ouska koi nahi or Me apni Maa ke Sath rehna chahata hon ounki Khidmat karna chahata hon Bus Roota hon Tadapta hoon Aj is waqt mare me ye ghazal par ke tadap outha Maa Meri Pyari Maa mujhe Maff kardo mujhe apne hath se mar dalo magar khud he dur na rakho Maa mujh se ghalti hoi me boohat sherminda hoon Magar Maa me tujh se boohat pyar karta hoon Maa mare Anso pochne wala bhi nahi jub bivi bacha so jata hi tab tujhe yad kar kar ke sota hoon tadaptahoon Maa....
faizan () [ Reply ] 2010-07-19 02:47:29
boht hi khob likha hai jisne bhi likha hai,,,,,,,,,rea lly parh kr rona a gaya.


Start Discussion!
(Will not be published)
(First time user can put any password, and use same password onwards)
(If you have any question related to this post/category then you can start a new topic and people can participate by answering your question in a separate thread)
(55 Chars. Maximum)

(No HTML / URL Allowed)
Characters left

(If you cannot see the verification code, then refresh here)