kisi ka yooN to hua kaun umR bhar fir bhi… By Firaq Gorakhpuri

  Sher-o-shayari You are here
Views: 1519
kisi ka yooN to hua kaun umR bhar fir bhi

ye husN-o-ishq to dhokha hai sab magar fir bhi

hazaar baar zamaana idhar se guzra hai

nayee nayee si hai kuch teri reh-guzar fir bhi

Khusha Ishara-e-paham, jeh-e-sukoot nazar

Daraaz hoke fasaana hai mukhtasar phir bhi

Jhapak rahi hain Zaman-o-makan ki bhi aankhen

Magar hai kaafila amad-o-safar phir bhi

Palat rahen hain wo gareebul watan palatna tha

wo koocha ruksh-e-jannat ho, ghar hai ghar phir bhi

teri nigaaH se bachNe meiN umR guzri hai

utar gaya rag-e-zaam meiN ye neshtar fir bhi

Firaq Gorakhpuri

_________________________________

किसी का यूं तो हुआ कौन उम्र भर फिर भी

ये हुस्न-ओ-इश्क़ तो धोका है सब, मगर फिर भी

हजार बार ज़माना इधर से गुजरा

नई नई है मगर कुछ तेरी रहगुज़र फिर भी

खुशा इशारा-ए-पैहम, जेह-ए-सुकूत नज़र

दराज़ होके फ़साना है मुख्तसर फिर भी

झपक रही हैं ज़मान-ओ-मकाँ की भी आँखें

मगर है काफ्ला आमादा-ए-सफर फिर भी

पलट रहे हैं गरीबुल वतन, पलटना था

वो कूचा रूकश-ए-जन्नत हो, घर है घर, फिर भी

तेरी निगाह से बचने मैं उम्र गुजरी है

उतर गया रग-ए-जान मैं ये नश्तर फिर भी

फ़िराक़ गोरखपुरी


Latest Posts

Start Discussion!
(Will not be published)
(First time user can put any password, and use same password onwards)
(If you have any question related to this post/category then you can start a new topic and people can participate by answering your question in a separate thread)
(55 Chars. Maximum)

(No HTML / URL Allowed)
Characters left

(If you cannot see the verification code, then refresh here)