SMS Sher Shayari's

  Sher-o-shayari You are here
Views: 1189

Ek Sach-
Nazar Aur Naseeb Ke Milney Ka
Ittefaq Kuchh Aisa Hai,
.
.
.
Ki Nazar Ko Pasand Hamesha
Wahi Chiz Aati He Jo,
.
.
.
Naseeb Me Nahi Hoti Hai.!


############################################################

 

"Zindgi Me Mushkiley Tamaam Hai,
Phir Bhi In Labo Pe Ek Muskan Hai,
Qyuki Jeena Jab Har Haal Me Hai,
To Phir Muskurakar Jeeney Me Kya Nuksaan Hai."


############################################################

 

Yaad Dila K Wo Apni Hamey Bhool Jaaney Lagey,
Wada Kar Wo Wada Todd K Jaaney Lagey,
Kya Gila Hai Hamsey Ye Bata To Dete,
Wo Ajnabi Ho Gaye Ya Hum Hi Gairon Me Aaney Lagey..


############################################################

 

Apne Haatho Ko Dekh Kar Sochti Hu Ye Zindgi Kis K Naam Karun?
Uskey Naam Jo Dil Ki Dhadkano Me Hai
Ya Phir
Uskey Naam Jo Haatho Ki Lakiron Me Hai..


############################################################

 

Hansi Ke Nagme Gaatey Raho,
Waqt Nikaal Kar Muskuratey Raho,
Zindagi Kahaa Deti Hai Mauka Baar-Baar,
Mauka Dundho Aur Khilkhilatey Raho


############################################################

 

Mohabbat Bhi Ajeeb Si Hoti Hai,
Har Lamha Unki Kami Si Hoti,
Chahtey Hai Unko Is Kadar Hum,
Zara Si Kharoch Unko Lagey Toh
Takleef Humey Hoti Hai.


############################################################

 

Dosti Ki Kimat Smajhai Nahi Jaati,
Ye Duinya Ko Dikhlai Nai Jati,
Dosti Kari Toh Dil Se Karo,
Kyuki Ye Kisi Ko Batlai Nahi Jaati


############################################################

 

Kimti Palo Ko Yuhi Naa Bitana,
Hastey Rehna Aur Hamey Bhi Hasana,
Hamey Yaad Kartey Ho Aap Itna Kafi Hai,
Kabhi Bhul Bhi Jaao To Hamey Na Batana...


############################################################

 

Rishta Banya Hai To
Har Pal Aapko Hasayenge .
Pata Hai Aapko To Fursat
Nahi Yaad Karne Ki,
Hum Hi Tang Karkey Apni
Dosti Ki Yaad Dilayenge.


############################################################

 

Kaash Jatey Huye Waqt Ko Hum Rok Saktey,
Aapke Saath Guzara Har Lamha Jodd Saktey,
Na Jaaney Kitni Yaadein Hain Humarey Dil Me,
Kash Zindegi Ko Hum Pichhey Modd Saktey..


############################################################

 

Kashti Bhi Naa Badli, Dariya Bhi Na Badla,
Hum Doobney Waalo Ka Jazba Bhi Na Badla,
Hai Shok-E-Safar Aisa Ki Ik Umar Se Humney,
Manzil Bhi Naa Paayi, Raasta Bhi Na Badla.


############################################################

 

Falak Me Apni Jannat Ke Sitarey Nahi,
Hum Unkey Hai Par Wo Humarey Nahi,
Chhoti Si Naav Lekar Us Samandar Me Utar Gye Yaaro,
Jis Samandar Me Door-Door Tak Kinarey Nahi.


############################################################

 

Ek Mahan Philosofer Ne Kya Khub Kaha Hai,
Ki...
"Zindagi Tu Hi Bata Kaise Tuje Pyar Karu?
Teri Har Ek 'Subah Meri Umra Kam Kar Deti Hai.




Latest Posts

  Posted on Wednesday, September 26th, 2012 at 3:14 PM under   Sher-o-shayari | RSS 2.0 Feed
Comments
kundan (Mumbai Dahisar) [ Reply ] 2012-12-10 11:53:16
Fine. I like
ketan (ahmedabad) [ Reply ] 2012-11-09 15:43:01
hii


Start Discussion!
(Will not be published)
(First time user can put any password, and use same password onwards)
(If you have any question related to this post/category then you can start a new topic and people can participate by answering your question in a separate thread)
(55 Chars. Maximum)

(No HTML / URL Allowed)
Characters left

(If you cannot see the verification code, then refresh here)