collection of Sher’s on “Maikhana”

  Sher-o-shayari You are here
Views: 2338
sher-o-shayari on Maikhana

dekhaa kiye vo mast nigaaho.n se baar baar

jab tak sharaab aaye kayi daur ho gaye

====================================

Kehtay Hain Teri Zulfay Parayshan Ko Zindagi

Ai Dost Zindagi Ki Tamanna Buri Naheen

Saghar Kay Sath Chal Kay Kabhi Maikaday Main Sun

Wallah, Hadeesay Bada-O-Meena Buri Naheen

==================================

gham-e-duniya bhi gham-e-yaar meiN shaamil kar lo

nasha bedrta hai sharabaiN jo sharabooN meiN milen

=======================================

Hum maikaday ki raah se hokar nikal gaye

warna safar hayaat ka kaafi taweel tha.

====================================

Ab to itni bhi muyassar nahi maikhane mein

jitni hum chorr dia karte te paimane mein

==================================

Likha hua hai peer-e-mughaan ki dukaan par

Kam zarf ko haraam hai peena sharaab ka

===================================

zaahid sharaab piine de masjid me.n baiTh kar

yaa vo jagah bataa jahaa.N par Khudaa na ho

======================================

'Ghalib' chuTii sharaab par ab bhi kabhi-kabhi

peeta hon roz-e-abr-o-shab-e-maahataab mein

=====================================

Maikade mein kabhi tauba ko jo aate dekha

Ek deewaar khadi ho gayi paimaanon ki

==================================

Aaya jo maikhade me to bedaam pee gaya

Zahid bhi sar juka ke kae jaam pee gaya

===================================

Ao ik sajda karen alam-e-madhahoshi men

Kahate hain ke "sagar" ko khuda yad nahin

=================================

Aakhiri jaam mein kya baat thi aisi saaqi

Ho gaya pee ke jo khaamosh, woh khaamosh raha

==================================

Zindagi Saqi Bahoot Mehfooz Hay, maikhanay main hai

Kuch teri Aankhoon main hai,kuch mere paimanay main hai

=============================================

Kon si Jannat ka waiz kar raha hay zikar tu

Aisi ik Jannat to ham rindon ky maikhanay main hay

==========================================

rah gae jaam mein angraiyyan leke sharaab

ham se maangi na gayi unse pilayi na gayi

====================================

Jannat Jo Milay, La Kar Maikhanay Mein Rakh Dena

Kausar Ko Mere, Chotay Say Paimanay Mein Rakh Dena

Maiyyat Na Meri, Jaa Kar Veeranay Mein Rakh Dena

Paimano Mey Dafna Kar Mekhanay Mein Rakh Dena

Saaqi dare maikhana abhi band mat karna

shayad mujhe jannat ki hawa raas na aaye

====================================

Khali Hai Aabi Jaam, Mein Kuch Soch Raha Hoon

Ay Gardish-E-Ayaam Mein Kuch Soch Raha Hoon

Saaqi Tujhe Kuch Thori Si Taqleef To Hogi

Sagar Ko Zara Tham Mein Kuch Soch Raha Hoon

Kal Raat Maikade Mein Ajab Hadsa Huwa

Zahid Sharaab Pee Gaya Mere Hisaab May

=====================================

Shikasta Haal Hain, Dunya Kay Bhi Sata'ay Hain

Tere Sawaal Ka Ya-Rab Jawab Daitay Hain

Ye Roz-e-Hashr Hai, Itni Bhi Jald Bazi Kya

Zara Sharab To Pee Lain Hisaab Daitay Hain

==================================

aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye

us ke baad aaye jo azaab aaye

===================================


Latest Posts

Start Discussion!
(Will not be published)
(First time user can put any password, and use same password onwards)
(If you have any question related to this post/category then you can start a new topic and people can participate by answering your question in a separate thread)
(55 Chars. Maximum)

(No HTML / URL Allowed)
Characters left

(If you cannot see the verification code, then refresh here)