Aagaaz to hota hai anjaam nahin hota… By Meena kumari

  Sher-o-shayari You are here
Views: 1739
आगाज़ तॊ होता है अंजाम नहीं होता

जब मेरी कहानी में वॊ नाम नहीं होता

जब ज़ुल्फ़ की कालिख़ में घुल जाए कोई राही

बदनाम सही लेकिन गुमनाम नहीं हॊता

हँस- हँस के जवां दिल के हम क्यों न चुनें टुकडे़

हर शख्स़ की किस्मत में ईनाम नहीं होता

बहते हुए आँसू ने आँखॊं से कहा थम कर

जो मय से पिघल जाए वॊ जाम नहीं होता

दिन डूबे हैं या डूबे बारात लिये कश्ती

साहिल पे मगर कोई कोहराम नहीं होता

------------------------------

Aagaaz to hota hai anjaam nahin hota

jab meri kahaani mein woh naam nahin hota

jab zulf ki kaalikh mein ghul jaye koi raahi

badnaam sahi lekin gumnaam nahin hota

hans hans ke jawaan dil ke hum kyon na chunein tukde

har shakhs ki kismat mein inaam nahin hota

Bahte hue aansu ne aankhon se kaha tham kar

jo mai se pighal jaaye wo jaam nahin hota

din doobe hain ya doobi baraat liye kishti

saahil pe magar koi kohraam nahin hota


Latest Posts

Start Discussion!
(Will not be published)
(First time user can put any password, and use same password onwards)
(If you have any question related to this post/category then you can start a new topic and people can participate by answering your question in a separate thread)
(55 Chars. Maximum)

(No HTML / URL Allowed)
Characters left

(If you cannot see the verification code, then refresh here)